Friday, March 18, 2011

alvida

                                                                 Alvida

Bin bulaaye zindagi mein bahaar banke aagaye
aur bin bataaye zindagi se jaan banke chal diye,
unchaahe armaano ko ,
aap ke adaao ne uksaagaye
adhoore sapno ko tod ke
andhere mein aap hame jagaa gaye....

dil ki veeraaniyo ko
gheri hai adhoori kahaaniya,
jo poori naa hui aap ke bina,
bahaar bani thi zindagi par ,
pyaar ke khwaab sab pathzhad banke toot gaye
dil aisa dehekne laga ki
poore jag kaa dhoop bhi kam lagne lagaa....

meri zindagi ki aasmaan mein chand banke chaa gaye
par kismat bane badal ke aad meinaap kahi gum ho gaye..
aap ke yaadon kse barse aasoon ke baarish mein bhi aap ke
chaahat ka satrangi indra dhanush sajtaa hai
haquikat mein aap aur aap ki hasi haasil naa hui
mere sapno ke saahil banke bhi aap kahi ujad gayi..
jaante hai jo kho diye woh naa paa sakenge
par darte hai kya hum kabhi phir pyaar kar sakenge...

Written by :Sudhir

No comments:

Post a Comment