Friday, March 18, 2011

aakhri safar

Aakhri safar
yeh sooni kaali raat,
khaali mere haath,
bheeni palkhon kaa saaj,
zindagi ek saja bangayi
pyaar uski wajah ban gayi....

khaamosh hai meri saanse
aawaaz bani teri aahat.
par dil mein atki baat
ban gayi hai meri rukaawat.

teri raah mein thaki meri nigaahein
sapne bani palkhon ki sajaawat
par khwaab na ban sake haquikat
phir bhi tu naa hui mere dil se ruksat.

tum ne mujhe haath naa diya ,
kismath mera saath naa diya.
meri zindagi toh toot raha hai
par yaado ka baisaakhi sahaara de raha hai..
kya karu pehle pyaar karna nahi jaanta tha , ab bhulaana nahi jaanta
ab tak zindagi jee raha tha ab se bas bitaana hai....

Written by :Sudhir

No comments:

Post a Comment